King - Ektarfa Lyrics

Ektarfa Lyrics: The melody is sung by King, King has composed the verses of "Ektarfa". King is known for composing tunes like Tu Aake Dekhle
Please wait 5 seconds...
Scroll Down and click on Go to Link for destination
Congrats! Link is Generated

Ektarfa Lyrics: The melody is sung by King, and has music by Aakash while King has composed the Ektarfa Lyrics. The music video of the Ektarfa melody is coordinated by Akhilesh Vats , and it highlights King.

King has composed the verses of "Ektarfa". King is known for composing tunes like Tu Aake Dekhle, She Don't Give A, and Shaamein.


"EKTARFA" SONG DETAILS
Singer King
Album Khwabeeda
Lyricist King
Music Aakash
Director Akhilesh Vats
Cast King
Director Of Photography Midhun Chandran, Winston Jose
Music Label King

Ektarfa Lyrics

Tu firse paas aa main zidd nahi karunga
Tu firse door ja main kuch nahi kahunga
Jo tere jaane se mein betha hun mehkhane mein
Mein kha chuka hun dhoka peene se nahi marunga

Jo tujhse seekha hu, tujh hi pe to likhunga
Jo tujhko chahunga,tujh hi pe to mitunga
Jo haske aunga main fir se tere saamne
Hu napasand bata diyo main fir nahi dikhunga

Maine dekha tujhme saadgi rahi nahi
Maine dekha tune koshishe bahut kari
Kehe jo tujhko apne hathon se saja dun
Hai kami tu pehne bahut
Fir bhi lagta kyu saji nahi

Aaj bhi aise dekhe maine daayre nahi
Ke tujhse baant lun mein khudko
Kehdun aa rahe nahi, hai tujhse milne

Bewafa hi the jo haske keh diya
Ke hum bhi dhokhe kha rahe nahi

Jo firse dekha meri ruk chali kalam thi
Dil dhadakta, aankhein bheegi, baatein tang thi
Jo tujhko socha mera poora ek janam thi
Jab tujhko dekha kisi or ki sanam thi

Dil to dukhta hai par jeena padhta hi hai
Suraj se chaand bhi akele ladta hi hai
Main kitna bhoolun kissa tera adta hi hai
Jo kardein fasla to pyaar badhta hi hai

Gaane to chal rahe par baat teri meri hai
Chirag bujh gaye par raat teri meri hai
Hua wo ek na jo sath janam ka vaada tha
To iss sadi main jana kya aukat teri meri hai?

Maana main sab hi kuch jeeta kuch bhi hara na
Par jisko hara usko dekha fir dobara na
Jo dhas gaya hun jaake raet mein main aankhon tak
Tu hai samundar mujhpe boond ka sahara na

Na mujhse puch mere haal kya sitaro ka
Na dum tu kha ye aake noto ki deewaron ka
Hai paisa kya tu chhoti baatein na kiya kar,
Main bas pyar se gareeb, mujhko mol na hazaro ka

Jo mujhse puchh le tu rasta baharon ka,
To haske kehdu tu nazara meri aankhon ka
Main jisko kosne chala hun uska naam yaad
Fir bhi likh na pana dosh kaam hai gawaron ka

Jo tujhko dekha aasma mein chand tha nahi
Kahin pe chhup gaya ke kehta lagta nahi
Isse haseen maine dekha kahi kuch ke
Log yonn hi likhte rehte mujhpe aye khuda mein chand nahi

Ye tere reshmi jo baal jaal sazi hai
Mara nahi par jeete ji tu meri faansi hai
Daba nahi gala kyun saansein meri ghut rahi
Main kya hi dun saza ja teri har saza hi maafi hai

Mujhe khabar nahi tu kis zuban mein razi hai
Dikhe asar nahi tu kis dua mein baaki hai
Agar kabhi main tere saamne se guzru,
Mujhko mil tu ya nahi par teri ek nazar hi kaafi hai

Ektarfa main naam bhi bana lunga
Ektarfa mein naam bhi chhupa lunga
Ek arsa jo beete teri yaadon mein,
Main hoke mashhoor tujhpe zindagi luta dunga

King has sung the tune "Ektarfa". King is known for singing tunes like Tu Aake Dekhle, She Don't Give A, and Shaamein. Akhilesh Vats has coordinated the music video of "Ektarfa". The music video of "Ektarfa" highlights King.

About the Author

"Hi, I'm Asad Ghazanfar - a passionate music enthusiast with a love for movies, songs, and lyrics. As the author of this blog, I aim to provide accurate and engaging song lyrics in every language. With my background in music and my attentio…

Post a Comment

Please drop you valuable comments here 👇
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
AdBlock Detected!
We have detected that you are using adblocking plugin in your browser.
The revenue we earn by the advertisements is used to manage this website, we request you to whitelist our website in your adblocking plugin.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.